Sunday, August 31, 2008

Unanswerable......

Today i am not happy......

Reason- I don't know. And i don't bother about that. Sometimes we usually feel broken without any particular reason. And nothing is wierd about that, i mean any person can be happy or sad without any reason. I like to be unanswerable in few situations. I don't want anybody around me when i am broken.The fact is that i don't want to answer any question which is arising in other person's mind. I hate to be asked when i am sad. Sadness is not my habit or liking, even its unlikely to me, but you never know what is going to happen with you,or what you are going to face next? And then you react in such a manner which is not of your kind.

Saturday, August 30, 2008

Ek Sawaal....

Kabhi zindgi ko nazdeek se dekha hai?
shayad nahi.....ya fir shayad dekhna nahi chaha.Wazah kuch bhi rahi ho magar hum mein se kitne log hote hain jo jeeven ki satyata...uski nirantarta...uski kadwaahat...uska meethapan...sachche hriday ke saath swikaar kar paate hain? Jawab khud se poochho...!!

Aaj ye sawal poochhne ka koi khaas tatparya nahi hai mera, magar ye sawaal kafi dino se mann ke kisi kone me kahin daba hua tha shayad, jo aaj ubhar kar hoothon pe aa gaya.
Kabhi sahi jawab nahi mil paya......aaj bhi nahi....shayad tabhi.
Mujhe aaj bhi intzaar hai sahi jawab ka ki "Zindgi nazdeek se kaisi dikhai deti hai?"

Naa Jaane Kyun...

Mujhe aaj bhi usse mohabbat hai,
magar naa jaane kyun...
ab iss mohabbat mein pahle si shiddat nahi rahi.

Mujhe aaj bhi uski yaad aati hai,
magar naa jaane kyun...
ab iss dil ko sitaron ke saath haal-e-dil kahne ki aadat nahi rahi.

Mujhe aaj bhi uska intzaar rahta hai,
magar naa jaane kyun...
ab usse milne ki tadap nahi rahi.

Kabhi-kabhi sochti hoon kaisi ho gayi hoon main,
bilkul "USS" jaisi ho gayi hoon main.

Friday, August 29, 2008

Ek Pal Chhin...

Uss din jab maine kafi kuch kho diya tha...
Uss din jab dil ko ek gahra aaghat laga tha...
Uss din jab jeevan neeras lag raha tha...
Uss din jab maine apne hi haathon se,
apne hi sapno ke ,tukdon ko sameta tha...
Uss din jab mann gahri tanhayee se gujra tha...
Tab maine ye jaana tha ki kisi bhi "gahre lagav" ko bikhraane ke liye,
ek pal chhin hi paryapt hota hai.....bahut chhota kintu bahut aakramak.