Monday, November 3, 2008

Nazaria.......

Shoonya aur andhere ki orr badhte uske kadam use kahin nahi le jate, kintu wo bina kisi baat-cheet kiye chala jaa raha tha.Use kisi se koi shikwa koi shikayat nahi hai, magar use kisi se koi ummeed koi apeksha bhi nahi thi. Use kuch nahi chahiye ( aisa wo kahta hai), magar koi talaash hai jo use shoonya raste par chalne ki "salaah" deti hai. 

"Kya wo moorkh hai, jo kabhi kuch na dene wale raste par agrasar hai............nahi.
Kya use iss baat ki zara bhi fikr nahi, ki wo kahan jaa raha hai....................nahi."

Aisa bilkul bhi nahi hai...........
Nazaria hai apna apna ki kisi ko wo raaste shoonya-chitt aur andhkaarmay lagte hain, aur kisi ko wahi raaste prakashit lagte hain.

No comments: