Monday, April 13, 2009

.....To Sama Kuch Aur Hota !!

Hum chand lamhe saath na baithe to kya,
Par agar aisa karte to sama kuch aur hota.
Tumne nazrein jhuka kar baat khatm ki,
Par jhuki nazron se haal-e-dil sunate to sama kuch aur hota.

Kabhi zahir na kiya tumne,
Agar mud kar dekhte to sama kuch aur hota.
Chandni ki boodon mein bheeg gaye the hum,
Agar tum haath thaamte to sama kuch aur hota.

Kaabil-e-tareef hai  tera yun anjaan hona,
Agar anjaan na bante to sama kuch aur hota.
Aham ye nahi ki mujhe koi shikwa hai,
Par uss shikwe ko jata pate to sama kuch aur hota.

Aye kaash ki sama kuch aur hota, ki sama kuch aur hota..




2 comments:

Varun said...

good one...

safal said...

my words may fall short n hold no magnanimity to the gravity of sentiments and the high impact wordings of the masterpiece written by you.......it jus needs one piece of appreciation that is jus outstanding ...........nothing more to add,in fact i cant do that.....mah best one