Aur thandi madhyam hawa,
Rim-jhim barasta paani,
Aur shaam ko halke kadmon se tahalna,
Shayad iss baat ka ilm karwata hai...
....ki "Dilli ka mausam" karvat le raha hai.
Terrace se "sadak pe lagbhag bahta hua traffic" dekhna,
Aur samajhna ki "gati (speed)" ki sahi paribhasha kya honi chahiye?
Aise shor me bhi mann ka shaant hona,
Shayad iss baat ka ilm karwata hai...
....ki iss baar "dilli ka mausam" nahi, "mere mann" hi karvatein le raha hai.
Wazah jo bhi ho, "Dilli" kafi jani pahchani si lagti hai ab...
2 comments:
this one was commendable.......hats off to ur thinking pattern madam.......
Bahat hi sahi likha hai dost.. I have just fallen in love with the poetry... Wonderful expression of thoughts. It makes me feel a freshness of breeze.. cold weather.. it reminds me of beautiful rainy scene...
I am lovin it..
Post a Comment