Baarish.....ek sarabor karta ehsaas, boondon ka woh sparsh jo mann ko bhi bhigo deta...
Yaad dila gaya mujhe, mera woh aangan mein dono haath faila kar pahli baarish mein bheegna.
'Chhap-chhap' karke pani mein chalna...aur kale baadal ghirte hi bheegne ka koi bahana sochna..:-)
Maa ka woh kahna- 'saare kaam baarish mein hi yaad aate hain?'
Aur mera woh jawab- 'maa...aaj bahut jaroori hai ye...please jane do'
Baarish mein bheegne ke liye bahane banane ki aadat nahi gayi meri :P
Aaj bhi wahi haal hai....:-) :-)
4 comments:
the background of ur blog,coupled with ur sincere,simple,innocent words make the whole aura of rainy season come alive......seems so organic.....hope it had few more lines in it......
Beautiful poetry... mujhe bhi bachpan yaad aagaye :)
sincere effort to stay with ur past..
u must hav heard this..
mujhko yakeen hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi,
jab mere bachpan ke din the chand mein pariyan rahti thi,
ek ye din jab sari sadke roothi roothi lagti hai,
ek wo din the jab sari galiya khele khele kahti thi,
mujhko yakeen hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi
u stopped writing girl.. ? no more new posts?
sneha
Post a Comment