Saturday, August 30, 2008

Ek Sawaal....

Kabhi zindgi ko nazdeek se dekha hai?
shayad nahi.....ya fir shayad dekhna nahi chaha.Wazah kuch bhi rahi ho magar hum mein se kitne log hote hain jo jeeven ki satyata...uski nirantarta...uski kadwaahat...uska meethapan...sachche hriday ke saath swikaar kar paate hain? Jawab khud se poochho...!!

Aaj ye sawal poochhne ka koi khaas tatparya nahi hai mera, magar ye sawaal kafi dino se mann ke kisi kone me kahin daba hua tha shayad, jo aaj ubhar kar hoothon pe aa gaya.
Kabhi sahi jawab nahi mil paya......aaj bhi nahi....shayad tabhi.
Mujhe aaj bhi intzaar hai sahi jawab ka ki "Zindgi nazdeek se kaisi dikhai deti hai?"

4 comments:

Anonymous said...

waisi hi jaisa aap use dekhna chahte ho
zindagi kareeb se aapki soch se pare hoti hai
wo seema se jyada jatil aur soch se adhik saral hoti hai
par sahi mano to ye saade pani ki tarah hai jaise chaho dhaal lo
ya isme dhal jao..............

Unknown said...

madam ji ye kya likha mere to palle nai pada ek oar ap unhe bhulna b chahti hai dusri oar yad b rkhna chahti hai ye kya hai ?

Unknown said...

zindagi must hay what ever it give u u myst enjoy it to u will be always must rahogay.

Anonymous said...

Kafi jatil sawaal hai..
Koshish karta hoon jawaab dene ki
"Ek ujli subah hai zindgi,
Ek khushnuma ehsaas hai zindgi.
Chaaho to ek sawaal hai zindgi,
aur chaaho to khud jawaab hai zindgi.."